Sunday, 11 December 2011

Dosti ya Pyaar ... ??

Pyaar Hogaya hain kisi apne se,
Darte hain ki woh anjaane na ho jaaye,
Yeh Baat Unse kahe ya..... Sirf, Dosti tak hi reh jaaye...

Saath main unke Hase-ghumien aur..
Akele main hi Rojaye..
Pucha Apne aapse ki Kya Jyada Jaroori hain (Dost ya Pyaar)
Toh yeh Khambakt jhooth bhi na bol paiye....
Aansu aaye... Muskaan ke Saath
Jab jaana ki Dil bhi yeh pehchaan Paaye

Inhi Baaton pe Soch ke has uthe hum,
Jab Saalo baad Aaj unki Yaad aayi ..... <3 <3 </3 

1 comment:

  1. saalo baad unki yaad aa gayi hame,
    unki wo ada phr sata gayi hame,
    wo muskurana bewaqt ka,
    wo dil lagana mazaak me,
    wo saath rehna jb waqt ho,
    wo sms karna firaak me,
    gam-e-firaak ki parchaaiya kha gayi hame,
    unki wo ada phr sata gayi hame,
    sadak kinare kitaabo ko dil se lagaaye hue,
    kitaabo me mere khat ko chupaaye hue,
    nazro me ashq, nazre jhukaaye hue,
    har ashq me mera naam chupaaye hue,
    wo ishq ka saleeka sikha gayi hame,
    unka wo ada yaad aa gayi hame

    ReplyDelete